Wednesday, April 29, 2009

Aapko Paakar Jahaan Badla Nazar Aata Hai

Aapko Paakar Jahaan Badla Nazar Aata Hai,
Har Ek Doctor Ab Pagla Nazar Aata Hai,
Pahle Nahi Jaana Tha, Ab Jaan Paaye Hain,
Wig Utaarne Ke Baad Aapka Takla Nazar Aata Hai

Khwabon Ki Ek Duniya Main

Khwabon Ki Ek Duniya Main
Ek Murat Rachi Thi

Nashili Aakhen Madhosh Kardene Wali
Wo Katil Hasi Dekhi Thi

Chand Sa Chera Laherati Zulfe
Wo Is Daard-E-Dil Ke Dawa Thi

Aapke Har Kadam Pe Bichhaenge Palkein

Aapke Har Kadam Pe Bichhaenge Palkein,
Rakhenge Khush Itna K Aap Sada Malkein,
Mere Pyaar Ka Jaam To Sada Chhalakta Rahega,
Par Aapki Kabhi Aankhein Na Chhalkein

Hame Din Me Mehsoos Karoge To Yaado Me Paoge

Hame Din Me Mehsoos Karoge To Yaado Me Paoge
Hame Raat Me Mehsoos Karoge To Khwabo Me Paoge
Mere Pyaar Ko Apne Dil Me Mehsoos Karke Dekho
Mere Pyaar Ki Khushbu Apni Saanso Me Paoge

Mere Dil Mein Aapki Sirf Soorat Basi Hai

Mere Dil Mein Aapki Sirf Soorat Basi Hai,
Dhadkanon Mein Meri Aapka Hi Basera Hai,
Zindagi Ka Har Lamha Aapke Naam Hai Ab,
Aapki Sham Hai Aur Aapka Hi Savera Ha

Bharosa Rakho Kabhi Aap Ka Bharosa Na Todenge

Bharosa Rakho Kabhi Aap Ka Bharosa Na Todenge,
Chahe Jo Ho Jaaye Aapka Saath Na Chhodenge,
Chahe Jo Haalat Hon, Aapse Munh Na Modenge,
Tod Denge Sanson Ki Dor, Magar Aapka Dil Na Todenge

Chalo Tareef Ke Bahane Hi Sahi,

Chalo Tareef Ke Bahane Hi Sahi,
Chand Log Dar Pe Aaye To Sahi,
Hum To Qatl Hone Ko Taiyaar Baithe Hain,
Koi Nigaahon Ke Teer Chalaye To Sahi

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !

Kaash wo nagme humein sunaye na hote

Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote..

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe
Rota hai dil aur toot jate hain sapne
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne