Wednesday, April 29, 2009

Aakhir Kyu

ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai


**********

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai


**********



Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai


**********

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai


**********

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai


**********

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai


**********

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai


**********

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai


**********

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai


**********

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya !!

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya !!
Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aas Chor Gaya !!

Yehi Karam Nawazi Us Ki Mujh Pe Kam Hai Kia !!
Ke Khud Tu Door Hai Yaaden Tu Paas Chor Gaya !!

Jo Khawishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gai Ab !!
Mere Labon Pe Wo Ek Lafz Kash Chor Gaya !!

Ye Mera Zarf Hai Ik Roz Us Ne Mujh Se Kaha !!
Ke Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khas Chor Gaya !!

Sard Mosam Se Mujhe Isi Liye Tu Nafrat Hai !!
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gaya !!

Monday, April 27, 2009

Aik Wo Din K Mayesar Tha Teri Bahoon Ka Takya FARAZ....

Aik Wo Din K Mayesar Tha Teri Bahoon Ka Takya FARAZ....

Aik Ye Din K Sar Rakhney Ko Pathar Bhi Nahi Milta..!

Meri Hr Ghri K HuM safar Meri ULfton Ka Jwab De

Meri Hr Ghri K HuM safar Meri ULfton Ka Jwab De
Mere Pyar Ka Mere Ishq Ka Sbi Chahto Ka Hisab De
mE nE Zindgi Ki Hr Ghari Teri Justjo mE Guzar Di
Muje Ab Tu Apna Shumar Kr Muje Bewaja Na Azzab De
mE Bikhr Rha Hoon Tot Kr,
Teri ULfton Ki TaLash mE
Mere Ansuon Ko Samet Le
Meri Ankh Ko Koi Khuwab De..

Zindagi møhtaj nahi manzilø ki

Zindagi møhtaj nahi manzilø ki,
Waqt har manzil dikha deta hai,
Marta nahi køi kisi se juda høke,
Waqt sb kø jeena sikha deta hai.

Ham toot bhi jaty hai,

Ham toot bhi jaty hai,
to charcha nahe kerty
Dukh dard bhi Sehtay hein,
Tamaasha nahe Kerty
Ham apny Mafaadaat Ki Takmeel Ki Khaatir,
Her Shakhs K Jazbaat Say Khailla Nahe Kerty
Ham Ko Koi Gila Hai,
To Khud apnay Dil Sy Hai Auron Pay Ham ilzaam Taraasha Nahe Kerty
Matlub-Perastee K Jo Aadee Nahe Hoty
Wo Haath Mila Kr Kabhi Chora Nahe Kerty
Kuch is Tarah K Loag Bhi Mil Jaaty Hein Akser
Jo pyar to kerty Hein NIBHAAYA Nhe Kerty.

Mat yad kro mjhe itna k reh na pao

Mat yad kro mjhe itna k reh na pao
Mat karib aao itna k durian seh na pao
Mat yad kro hr sans k sath mjhe
K meri sans rukne k baad apni sans le na pao.

Badalon k Drmiyan Aesi Sazish Hui

Badalon k Drmiyan Aesi Sazish Hui
Mera Mati Ka Ghar Tha Wahien Barish Hui
Falaq Ko Adat Thi Jahan Bijliyan Girane ki
HamKo B Zid Thi Wahien Ashian Bnane ki.

Unhain Ye Shikayat Hai Hum Se k..

Unhain Ye Shikayat Hai Hum Se k..
Hum Har kisi ko Dekh kar Muskurate Hein..
Na-Samajh Hai Wo kya jaane..
Hamein To Har Chehre Mein Woh Hi Nazar Atay Hain

Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi,

Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi,
Tujhay mujh say roth kr janay ki zrorat kia thi,
Ab jo mujh say routh kr udas rehtay ho,
Apna hath mairay hath say churany ki zaroorat kia thi,
Duniya kab kisi k ghum ko apna ghum smajhti ha,
Tujhay apna ghum duniya ko dekhanay ki zarorat kia thi,
Main aj tak is bat ko nehi samajh paya,
Jab sath tumharay MAIN tha to tum ko zamanay ki zarorat kya thi.