Phoolon say achi us ki khushboo,
Kaliyon say pyari us ki muskaan,
Sitaron say chamakta hua chehra,
Koyal si meethi zabaan,
Chand bhi chup jaye yeh keh kar,
Aasmaan par ab kya hai mera kaam,
Chandni to aa nikli zameen say,
kaisi hai yeh kudrat ki shaan,
Fursat say banaya hoga rab nay,
Farishton ka nahin yeh kaam,
Mitti say bane hain hum sab,
Us mein sonay ko milaya hoga,
Hooron nay bhi hasrat say dekha hoga,
Pariyon say sundar yeh insaan,
Alfaaz bhi kum parte hain kehne ko..
AAISI HAI MERI JAAN !
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment