DOOKH ANMOOL HOTAY HAIN
qudrat ka atiya hotay hain
kabhi kuch dai k jatay hain
kabhi sub cheen laitay hain
kabhi bay chain kartay hain
kabhi jeena sikhatain hain
kabhi bantay hain jub ansooo
omar bhar rolatain hain
kabhi lub ke hunsi bun ker
nai dunya sajatay hain
kabhi meethi yaad bun ker
anjani khalish bun ker
makeen e dil bun ker
kissi surat nahee mitthay
jo insay door bhagoo tu
kaheen janay nahee daitay
na zinda rehnay daitay hain
na yeah azaad kartay hain
yeah aisa dard hotay hain
magar yeah bih haqiqat hay
her aik ko nahee miltay
baday nayab hotay hain
Dhook ANMOOL HOTAY HAIN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment