Thursday, April 9, 2009

fitrat main shamil hai uski dukh dena

fitrat main shamil hai uski dukh dena
aadat nahi hamari kisi ka dil thorna

dil main dharkan banke dharakta hai aaj bhi
namumkin ab to usse bhoolna

qatil hai wohi meri khushiyon ka
na maane dil usko saaza dena

umer bar ki wafa ka wada tha
humne kabhi nahi chaha ye rishta thorna

inn doriyon se bhi baut pyar hai humko
qareeb woh aaye to nichawar kerdo sab apna

najane kya hogaya wo aisa to na tha
dilne aaj tak RANI unne bewafa na manna...

No comments:

Post a Comment