kerle kerle dil kabool woh nahi aayega
aaj bhi chand yunhi chup jayega
yunhi tanha raat beet jayegi
aur savera cha jayega
kyun khoya rehta hai uske khayalo main
kab tak shama-e-tamanna jalata rahega
ye intezar-e-deedar na hogi khatam teri
to yunhi kab tak tarapta rahega
ger hota usko khayal tera zara bhi
ke uske bina ye dil kaise dharak paaega
nanhe se dil pe usne itne zakham diye
ab koi kaise isse bar paaega
dil to ho chuka hai bekabu RANI
ab uske aane se hi ye qarar paaega
kerle kerle dil kabool woh nahi aayega
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment