Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
Wo shaks koi faisla kar bhi nahin jata
Ankahin hain k khali hi nahin rehti hain lahoo se
Aur zakhm-e-Judai hai k bhar bhi nahin jata
Wo rahat-e-jaan hai magar es darbadri main
Aisa hai k ab dehan outher bhi nahin jata
Hum dohri azyat k giriftar masafar
Paon bhi hain shall, Shouq-e-Safar bhi nahin jata
Dil ko teri chahat pa bharosa bhi bohat hai
Aur tujh se bicher jany ka dar bhi nahin jata
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment