woh aise jhoom rahe the sajh dhajkar mayyat me meri
jaise barso se tha unhe intezar jashn manane ka
unke dil me chhupi woh bekharari to dekho
poochhte hain sabse k kya waqt nahi hua inhe dafnane ka
roo roo ke aankhein meri thak chuki thi
aur aaj bhi unka iraada hai mujhe rulane ka
tha jise besabri se issi pal ka intezar
maan hi maan main haas ke maana rahe hain gham mere maarne ka
zindagi ka daman to ghamon se bhar diya
na mila sukoon unne phool dalna to bahana hai mera gham barane ka
zindagi to jaise ek sapna banke mili thi
uss bewafa ne RANI mauka hi na diya mujhe zindagi beetane ka
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment