barson beet gaye ek diya jal raha hai ab tak
lagaye aas sang mere intezar ker raha hai ab tak
hawaon ke zor ne hi kya tu bhi to isse bhuja na paaya
hai kitna zor iss pyaar mein beyan ker raha hai ab tak
zid pe jab aajaye to her shaa ko faana kerde ye
iski hi inayat hai ke dil dhadak raha hai ab tak
Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
aankhon mein tera chera jhalak raha hai ab tak
afsana to mera adhora reh gaya hai phir b
nadan dil muhabbat ker raha hai ab tak
baanhon mein hoti hai mehsoos teri kaami
baharon ka mausam aa raha hai ab tak
maalum tha RANI aanjam muhabbat ka
ishq barta ja raha hai ab tak
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment