faqat unne bhoolney ke liye
baut dhoondta hai bahaney dil
door rehke b wo paas hai mere
kuch kerke b na kuch ker paaye dil
ajeeb kashmakash zindagi khari hai
dhardkan ke bina kaise chal paaye dil
baat be baat haste rehna yunhi waqt bitana
duniya ko dekhaney k liye khush rahe dil
jeevan bhar ki ab yehi hai kamae
judae mein hi apne din kaate dil
beete pal ki yaadein leaati hai haasi
per aaj ke halat mein tanha hi hai dil
zakhmo ki gehrae mein doobte ja rahe hain
kab khatam hogi ye mehfil-e-tanhae dil
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment