Baat niklegi to phir door talak jayegi
log bevazha udasi ka sabab puchhenge
ye bhi puchhhenge tum itni pareshan kyun ho
ungaliyan utthengi sookhe hue baalon ki taraf
ik nazar dekhenge guzare hue salon ki taraf
choodiyon par bhi kai tanz kie jayenge
kaanpte hathon pe bhi fikare kase jayenge
log zalim hain har ik baat ka tana denge
baton-baton men mera zikr bhi leayenge
unki baton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chehre ke tassur se samajh jayenge
chahe kuchh bhi ho savalat n karna
mere bare men koi bat n karna unse
bat niklegi to phir door talak jayegi......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment