Wednesday, April 22, 2009

darwaza jab band kiya tha

darwaza jab band kiya tha
har ik nata tor diya tha...
sar ko jhukaye sharminda sa
kal woh mere paas khara tha...
hijar tumhari kismat mein hai
is ne aik din mujh se kaha tha...
barson baad gaya to dekha
ik dar ab bhi khula hoa tha...
dukh sukh mein hum saath rahenge
yaad hai tum ne ehed kiya tha...
mein bhi 'mb' na shab bhar soya
mujh se bhi ik shakhs khafa tha...

No comments:

Post a Comment