AB K HUM NE SOCHA HAI
KHUD SE JUDA HO JAAEN
AUR HOON JUDA AISEY K
APNI SANS KI AAWAZ KHUD KO NA SUNAAI DE
KOI KHUWAAB APNON KA AB K NA DIKHAAI DE
PHIR TO SHAAED ISS DIL KO
ANJAANEY SE RASTOON PAR
JAISEY TAISEY CHALNE KI
AADAT SI HO JAAYE
ISS DYAAR KI THANDI
SARD SARDMAUJON MAIN
BEETEY HUYE LAMHOON KA
SAAZ KAHEEN KHO JAAYE
HAAL KI ISS CHADAR KO ODDH LEIN HUM YUN K PHIR
MAAZI KA KOI JUGNU YAAD K DREECHEY MAIN
AB K JAGMAGA NA SAKEY
HIJAR KI KOI AANDHI
DOORI KA KOI LAMHA
MERE FAISLOON KA BHARM
CHAHEY BHI TO GIRAA NA SAKEY
JAISA BHI YE PARDES HAI
AISEY HI HUM HO JAAEN
AB K HUM NE SOCHA HAI
KHUD SE JUDAA HO JAAEN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment