Friday, April 17, 2009

Aorat ------------ ------ (WOMAN)

Aorat ki alag se koee pehchan bhi to ho

Rishte se juda zaat ka uunwan bhi to ho



Kion ghar k he aangan men guzar jaey zindagi

Baaghe jinah men is ki koi shan bhi to ho



Ye tazkarae husan-o-wafa khatam kijiye

Wo aap ki nazar may ek insaan bhi to ho



Abb wakat kahan hay k Karen hum koi takheer

Halaat sudharne ka koi imkan bhi to ho



Aorta ko aaen khul k zara dil se den kheraj

JaR se ukhaaR phenken jahan k ghalat rawaj



Aab kal pe na choRen jo bdalna hay ye sammaaj

Aab kal ke intezar men guzre hen kitne Aaj



Mardon k saath ab wo rahe har mokam par

Aorat k sar par bi aaj ho rahbari ka Taaj

No comments:

Post a Comment