Monday, April 20, 2009

bachpan ke dukon ka kya andaza kare

bachpan ke dukon ka kya andaza kare
dard hone per sab lagate the gale

aansoo pochne wale sab the yahan
aur aaj humko koi shahara na de

kholona jo toot jaye to miljaye dosra
ab dil hum kahan se kharide

ek din the wo jab soote sukoon se
aur aaj neendo se toot gaye naate

chahane se pehle hi sab miljata tha
waqt ab itna kahan jo koi hamari dastan sunne

chote se dilke wo chote chote sapne
ek pal mein hi saare toote

masum zindagi wo bachpan ki
aaj humko bad dua se dekhe

han badalti hai zindagi badalta hai waqt
per RANI kyun badalte hain rishte...

No comments:

Post a Comment