Nayi nayi raah dikhati hai zindagi
naye naye khwab dikhati hai zindagi
Hazaron armaan panah lete hain is dil mein
kuch ko aashiyein mein basati hai zindagi
Kshitij tak pahunch paana asaan nahi hota
phir bhi usko aas paas batati hai zindagi
kabhi virah ki agni mein tadpati, kabhi rakh ke dher banati
phir usko gulshan bhi banati hai zindagi
Rishton ki kashm-e kash ko samajh pana asaaan nahi hai
Har roz nayi uljhan mein fasati hai zindagi
Kabhi apno ko paraya karti , kabhi parayo ko apna
phir nayi shaksiyat se milati aur judai mitati hai zindag
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment