Monday, April 20, 2009

yaadon ke saaman se saaja hai mera gher

yaadon ke saaman se saaja hai mera gher
ek tum hi ho bekabar baaki sabko hai kabar

jo tum mere kabhi ban na saake
aaj teri yaadein bangayi meri humsafar

her ek cheez se jalakta hai tera nazara
teri khushboo baasi hai dagar dagar

jo roshni tum leaaye the mere jeevan mein
ab bhi roshan hai saara jahan mere dilbar

ab bhi saverti hon mein sirf tumare liye
aaine mein jo dekhe tera manzar

mausam ka woh bahana jo laaya tha kareeb humko
mehsos kerti hon tujhko apni rooh ke aandar

kabhi jo aake dekho to hoga yakeen
RANI ka dard bhi hai teri yaadon se munawar

No comments:

Post a Comment