Wednesday, April 15, 2009

aaj zindagi ke panno ko ulat ker dekha to

her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi
khiza ke mausam mein bhi bahaar nazar aayi.......

dil mein armaano ka sagar nazar aaya to
kahin pyaar mein bheega hua sawan nazar aaya......

kahin phoolon per bhaithi hui shabnam gunguna rahi thi
to kahin oer jalti hui shama bhi muskura rahi thi........

her ek pal tha jazbaaton ki khushbu se mehka hua
waqt yun lagta tha jaise hai kahin thehra hua........

par aaj yun lagta hai jaise jeene ka sahara choot gaya
khushiyo ka farishta bhi meri zindagi se jaise rooth gaya.......

ab na woh bahar hai na jazbaaton se mehka hua samaa
na koi ummeed hai ab, na hai armaano ka jahaan........

ab to bus tanhaaiyon ka saath hai or kuch nahi
maut ka intezaar hai ab jeene ki koi chah baki nahi...

No comments:

Post a Comment