Wednesday, April 15, 2009

ek na ek din

ek na ek din sabne yahan se rukhsat hona hai
yeh alvida lafaz tabhi toh sach hona hai

rut badalati hai mizaaj badal jaate hain
par is terah rone se kab halaat badal paate hain

sab musafir hain yahan kab der tak tahar paate hain
pedo se paate ki tarah sab ek din yun hi juda ho jaate hain

dukho aur sukh toh jeevan ki chhaaya hai
inse ghabara ke kab kun zindagi ko alvida keh paaya hai!!

No comments:

Post a Comment