Tuesday, March 31, 2009

nahin maanga kuch bhi tere siwa

tere siwa

nahin aur kuch bhi tere siwa
meri sans
meri zindagi
meri khamoshi
meri be-basi
mera ilm bhi
mera naam bhi
k meri subah
k meri shaam bhi
k jo mil sakain mere dum bhi
woh sabhi kuch tujhe ataa kare
mere chaara-gar tu yaqeen tu kar
mujhe maangna tu na aa saka
main ne phir bhi maangi yehi dua
kay gwaahi day ga mera khuda
mein ne jab bhi us se talab kia
nahin maanga kuch bhi tere siwa

No comments:

Post a Comment