Thursday, March 26, 2009

Ye jo diivaane se do chaar nazar aate hai.n

Ye jo diivaane se do chaar nazar aate hai.n
In me.n kuchh saahib-e-asraar nazar aate hai.n
Teri mahafil kaa bharam rakahate hai.n so jaat ehai.n
Varnaa ye log to bedaar nazar aate hai.n
Duur tak ko_ii sitaaraa hai na ko_ii juganuu
Marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hai.n
Mere daaman me.n sharaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n
Aap phuulo.n ke Khariidaar nazar aate hai.n
Kal jise chhuu nahii.n sakatii thii farishto.n kii nazar
Aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n
Hashr me.n kaun gavaahii merii degaa 'Sagar'
Sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hai.n

No comments:

Post a Comment