Tuesday, March 31, 2009

us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara MOHSIN

us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara MOHSIN
meine tab tab yeh bataya k tumhara MOHSIN
log sadyon ki khataon pe bhi khush basty hain
hum ko lamhon ki wafaon ne ujara MOHSIN
jab aa gaya yeh yaqeen ab woh nahin aaye ga
gham aur aansoo ne diya dil ko sahara MOHSIN
woh tha ja pass to jeenay ko bhi dil karta tha
ab tu pal bhar bhi nahi hota guzara MOHSIN
usko paana tu MUQADDER ki lakeeron mein nahi
uska khona bhi karein kaise gawaara MOHSIN

No comments:

Post a Comment