Friday, March 13, 2009

Din rat sulgnay lgtey hain

Din rat sulgnay lgtey hain
jb yaad Tumhari aati hy,
Hum tout k bikharney lagtey hain

jb yaad Tumhari aati hy,
Kuch apni Tum ko batlain,
kya haal humara hota hy,
Hum tanha rony lagtey hain

jb yaad Tumhari aati hy,
Ye sansain bhi tham jati hain
ye dharkan bhi ruk jati hy,
Hum jeeny mernay lagtey hain

jb yaad Tumhari aati hy,
Jb bhool Tumhain hum jatay hain
tu khud ko murda paty hain,
Hum phir say jeeny lagtey hain
jb yaad Tumhari aati hy.

No comments:

Post a Comment