Friday, March 13, 2009

'Tu kisi Aur ki Jagir Hai Ae Jan-e-gazal,

'Tu kisi Aur ki Jagir Hai Ae Jan-e-gazal,
'Log Toofan Utha Denge Mere Sath Na Chal;
'Pehle Haq tha Teri Chahat k Chaman Pe Mera;
'Pehle Haq tha Teri khushboye Badan Pe Mera,
'Ab Mera Pyar Tere Pyar ka Haqdar Nahi;
'Main Tere Gesooye Rukhsar ka Haqdar Nahi;
'Ab kisi Aur k Shanu Pe Hai Tera Aanchal;
'Log Toofan Utha Denge Mere Sath Na Chal;
'Main Tere Pyar Se Ghar Apna Basaoon kese..?
'Main Teri Maang Sitaron Se Sajaoon kese..?
'Meri kismat Mein Nahi Pyar ki khushbo Shayad;
'Mere Hathon ki Lakeeron Mein Nahi Tu Shayad;
'Apni Taqdir Bana Mera Muqaddar Na Badal;
'Log Tufan Utha Denge Mere Sath Na Chal;
'Mujhse kehti Hain Ye khamosh Nigahein Teri;
'Meri Parwaz Se Oonchi Hain Panahein Teri;
'Aur Gairat Ehsas Pe Sharminda Hoon;
'Ab kisi Aur ki Baahon Mein Hain Baahain Teri;
'Ab kahan Mera Thikana Hai kahan Tera Mahal;
'Log Toofan Utha Denge Mere Sath Na Chal.....

No comments:

Post a Comment