Wednesday, March 25, 2009

Vo jise samajhtay thay zindagi

Vo jise samajhtay thay zindagi
Meri dharkanon ka faraib tha"
Mujhey muskurana sikha k wo"
Meri rooh tak ko rula gaya"
Wo k jis ko paney ki chah men"
Men kabhi khilta gulaab tha"
Meri patti patti bikhar gayi"
Mujhe aisi thokar laga gaya"
Ajab shaks tha wo ae zindagi"
Jisey samajh k b na samajh saka"
Mujhe chahta b gazab ka tha"
Mujhe chorr kar b chala gaya..!"

No comments:

Post a Comment